Abhi chaman mein mera humnafas nahin koi,
ke main bahaar ki aamad ka awwaleen gul hoon ।
Main dekhta hoon kisi aab-ju mein aks apna,
ke iss bahane kisi doosre ka mooh dekhun ।
Ussi qalam ne jo karti hain zindagi tehreer,
koi payam meri pankhdi pe rakha hai ।
Hai dil mein kal, to gunaahon mein aaj ka anjaam,
khayal mein koi tadbeer e roz e fardaa hai ।
Hoon main bhi akhtar e parveen najaad go maine,
Ubharke khaak se gul ka libaas pehna hai ।
***
अभी चमन में मेरा हमनफ़स नहीं कोई,
के मैं बहार की आमद का अव्वलीं गुल हूँ ।
मैं देखता हूँ किसी आब-जू में अक्स अपना,
के इस बहाने किसी दुसरे का मुँह देखूं ।
उसी क़लम ने जो करती हैं ज़िन्दगी तहरीर,
कोई पयाम मेरी पंखडी पे रखा है ।
है दिल में कल तो गुनाहों में आज का अंजाम,
ख़याल में कोई तदबीर ए रोज़ ए फ़र्दा है ।
हूँ मैं भी अख़तर ए परवीं नजाद गो, मैं ने
उभरके ख़ाक से गुल का लिबास पहना है ।
Bahaar hi aamad – Arrival of spring
ReplyDeleteAwwaleen gul – first bloom
Aab ju – Brook, Rivulet
Tehreer – Handwriting
Tadbeer (order, arrangement) e roz (everyday) e fardaa (tomorrow, future)
Akhtar e parveen – star (akhtar) from a clusture of stars
Go - Although