Bana gulaab to kaante chubha gaya ik shaqs
hua charag to ghar hi jala gaya ik shaqs ।
Tamaam rang mere, aur saare khaab mere,
fasaana keh ke, fasaana bana gaya ik shaqs ।
Main kis hawa mein udoon, kis faza mein lehraaun,
dukhon ke jaal har su bichha gaya ik shaqs ।
Mohabbatein bhi ajab, uss ki nafratein bhi kamaal,
mere tarah ka mujhmein sama gaya ik shaqs ।
Woh maahtaab tha, marham ba dast aaya tha,
magar kuch aur siwa dil, dukha gaya ik shaqs ।
Khula yeh raaz ke aaina-khaana hai duniyan,
aur iss mein mujhko tamasha bana gaya ik shaqs ।
***
बना गुलाब तो कांटे चुभा गया इक शक़्स,
हुआ चराग तो घर ही जला गया इक शक़्स।
तमाम रंग मेरे, और सारे ख़ाब मेरे,
फ़साना कह के, फ़साना बना गया इक शक़्स।
मैं किस हवा में उडू किस फ़ज़ा में लहराऊं,
दुखों के जाल हर सू बिछा गया इक शक़्स।
मोहब्बतें भी अजब, उस की नफरतें भी कमाल,
मेरे तरह का मुझमें समां गया इक शक़्स।
वह माहताब था, मरहम बा दस्त आया था,
मगर कुछ और सिवा दिल, दुखा गया इक शक़्स।
खुला यह राज़ के आइना-खाना है दुनियां,
और इस में मुझको तमाशा बना गया इक शक़्स।
amazing collection you've got.. very nice taste in urdu ghazals.. creditable...
ReplyDeleteThank you Anonymous.
ReplyDeletekya ye obedullah ameen ki gajhal hai
ReplyDeleteYes this is Obaidullah Aleem's poetry.
ReplyDelete