Qariyah qariyah thi ziya hasrat-e-aabaad yeh dil, qariyah qariyah wahi veeranon ka aalam barsaa ।



Chand hi nikla na baadal hi jhamajham barsa,
raat dil par, gham-e-dil, surat-e-shabnam barsa ।

Mere armaan thay barsaat kay baadal ki tarah,
ghunche shaaki hain kay yeh abr bahut kam barsa ।

Sard jhonkon nay kahi sooni ruton say kya baat,
kin tamannaon ka khoon shaakhon se tham-tham barsa ।

Qariyah qariyah thi ziya hasrat-e-aabaad yeh dil,
qariyah qariyah wahi veeranon ka aalam barsa ।

Kitne naapeyd ujaalon ne kiya hai aabaad,
woh andhera jo meri aankhon say paiham barsa ।


***


चाँद ही निकला न बादल ही झमाझम बरसा,
रात दिल पर ग़म-ए-दिल सूरत-ए-शबनम बरसा ।

मेरे अरमान थे बरसात के बादल की तरह,
गुंचे शाकी है के यह अब्र बहुत कम बरसा ।

सर्द झोंकों ने कही सूनी रुतों से क्या बात,
किन तमन्नाओं का खूं शाकों से थम-थम बरसा ।

क़रिया क़रिया थी ज़िया हसरत-ए-आबाद यह दिल,
क़रिया क़रिया वही वीरानों का आलम बरसा ।

कितने नापैद उजालों ने किया है आबाद,
वह अँधेरा जो मेरी आँखों से पैहम बरसा ।