Mujhsa na de zamane ko, parvardigaar, dil
Ashufta dil, fareefta dil, beqaraar dil ।
Nikle meri bagal se woh aisi tadap ke saath,
yaad aayega mujhe wohi be-ikhtiyaar dil ।
Har baar maangti hai naya chasm-e-yaar dil,
Ik dil ko kis tarah se banaun hazaar dil ।
Yeh saed-gaah e ishq hai, thehraaiye nigaah,
sayyaad e muztarib se na hoga shikaar dil ।
Karte ho ehd e wasl to itna rahe khayal,
Paimaan se zyaada hai, na-paayedaar dil ।
Taseer e ishq yeh hai, tere ehd e husn mein,
mitti ka bhi banayein to ho be-qaraar dil ।
Aalam hua tamaam, raha usko shaukh e zor,
barsaaye aasmaan se parvardigaar dil ।
Pehle pehel ki chaah ka keeje na imtihaan,
aana to seekh le abhi do chaar baar dil ।
Mashhoor hain sikandar o jaam ki nishaaniyan,
Aye 'daag' chhod jaayeinge hum yaadgaar dil ।
***
मुझसा न दे ज़माने को, परवरदिगार,
दिल आशुफ्ता दिल, फ़रीफ़्त दिल, बेक़रार दिल ।
निकले मेरी बगल से वो ऐसी तड़प के साथ,
याद आएगा मुझे वही बे-इख्तियार दिल ।
हर बार मांगती हैं नया चश्म-ए-यार दिल,
इक दिल को किस तरह से बनाऊं हज़ार दिल ।
यह सायेद गाह ए इश्क़ है, ठहराइए निगाह,
सय्याद ए मुज़्तरिब से न होगा शिकार दिल ।
करते हो एहद-ए-वस्ल तो इतना रहे ख़याल,
पैमां से ज़्यादा है, नापायेदार दिल ।
आलम हुआ तमाम, रहा उसको शौक़-ए-ज़ोर,
बरसाए आसमान से परवरदिगार, दिल ।
पहले पहेल की चाह का कीजे न इम्तिहान,
आना तो सीख ले अभी दो चार बार दिल ।
मशहूर हैं सिकंदर-ओ-जाम की निशानियाँ
ए 'दाग़' छोड़ जायेंगे हम यादगार दिल ।
No comments:
Post a Comment