Woh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin,
Usse ek khoobsurat mod de kar chhodna achha





Na main tum se koi ummeed rakhun, dil nawazi ki,
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazron se ।
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye teri baaton se,
Na zaahir ho tumhari kash-m-kash ka raaz nazron se ।

Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayein hum donon ।

Taaruf rog ho jaaye to usko bhoolna behtar,
Taalluq bojh ban jaaye, to usko todna achha ।
Woh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin,
Usse ek khoobsurat mod de kar chhodna achha ।

Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayein hum donon ।

***

न मैं तुम से कोई उम्मीद रखूँ, दिल-नवाज़ी की,
न तुम मेरी तरफ़ देखो ग़लत अंदाज़ नज़रों से ।
न मेरे दिल की धड़कन लड़खडाये तेरी बातों से,
न ज़ाहिर हों तुम्हारी काश-म-काश का राज़ नज़रों से ।

चलो इक बार फ़िर से अजनबी बन जायें हम दोनों ।

तारुफ्फ़ रोग हो जाए तो उसको भूलना बेहतर,
ताल्लुक़ बोझ बन जाए तो उसको तोड़ना अच्छा ।
वह अफ़साना जिसे अंजाम तक लाना न हो मुमकिन
उसे इक खूबसूरत मोड़ दे कर छोड़ना अच्छा ...

चलो इक बार फ़िर से अजनबी बन जायें हम दोनों ।


16 comments: