Tere liye chale the hum, tere liye theher gaye,
Tu ne kaha to jee liya, tu ne kaha to mar gaye





Kat hi gayi judaai bhi, kab yeh hua ke mar gaye,
Tere bhi din guzar gaye, mere bhi din guzar gaye।

Tu bhi kuch aur aur hai, hum bhi kuch aur aur hain,
Jaane woh tu kidhar gaya, jaane woh hum kidhar gaye।

Raahon mein hi mile the hum, raahein naseeb ban gayi,
Tu bhi na apne ghar gaya, hum bhi na apne ghar gaye।

Woh bhi ghubar e khaak tha, hum bhi ghubaar e khaak the,
woh bhi kahin bikhar gaya, hum bhi kahin bikhar gaye।

Koi kinaar e aab-ju, baitha hua hai sar-nigun,
kashti kidhar chali gayi, jaane kidhar bhawar gaye।

Tere liye chale the hum, tere liye thehar gaye,
Tu ne kaha to jee liya, tu ne kaha to mar gaye।

Waqt hi kuch judaai ka itna taveel ho gaya,
dil mein tere firaaq ke jitne the zakhm bhar gaye।

Baarish e wasl woh huyi saare ghubaar dhul gaya,
Woh bhi nikhar-nikhar gaya, hum bhi nikhar-nikhar gaye।

Itne qareeb ho gaye, itne raqeeb ho gaye,
Woh bhi 'adeem' dar gaya, hum bhi 'adeem' dar gaye।

- Adeem Hashmi

***

कट ही गई जुदाई भी, कब यह हुआ के मर गए,
तेरे भी दिन गुज़र गए, मेरे भी दिन गुज़र गए ..

तू भी कुछ और और है ... हम भी कुछ और और हैं
जाने वह तू किधर गया.. जाने वह हम किधर गए ।

राहों में ही मिले थे हम, राहें नसीब बन गयीं
तू भी न अपने घर गया, हम भी न अपने घर गए ।

वह भी ग़ुबार-ए-ख़ाक था, हम भी ग़ुबार-ए-ख़ाक थे
वह भी कहीं बिख़र गया, हम भी कहीं बिख़र गए ।

कोई किनार ए आब-जू बैठा हुआ है सर निगूँ,
कश्ती किधर चली गई, जाने किधर भवर गए ।

तेरे लिए चले थे हम, तेरे लिए ठहर गए
तू ने कहा तो जी लिया ... तू ने कहा तो मर गए ।

वक्त ही कुछ जुदाई का इतना तवील हो गया,
दिल में तेरे फ़िराक़ के जितने थे ज़ख्म भर गए ।

बारिश-ए-वस्ल वो हुई सारा ग़ुबार धुल गया,
वह भी निखर-निखर गया, हम भी निखर-निखर गए ।

इतने क़रीब हो गए, इतने रक़ीब हो गए,
वह भी 'अदीम' डर गया, हम भी 'अदीम' डर गए …

- अदीम हाशमी


3 comments:

  1. Anonymous1/07/2010

    Fantastic..

    ReplyDelete
  2. Anonymous10/15/2024

    Great and I have a nifty supply: Where To Start With Whole House Renovation 1970's split level remodel

    ReplyDelete