Azeez itna hi rakho ke jee sambhal jaaye
Ab iss qadar bhi na chaaho ke dumm nikal jaaye ।



Azeez itna hi rakho ke jee sambhal jaaye,
Ab iss qadar bhi na chaaho ke dumm nikal jaaye।

Mile hain yun to bahot, aao ab mile yun bhi,
Ke rooh garmi e anfaas se pighal jaaye।

Mohabbaton mein ajab hai dilon ko dhadka sa,
Ke jaane kaun kahan raasta badal jaaye।

Rahe woh dil jo tamanna e taaza tar mein rahe,
khushaa woh umr jo khaabon hi mein behal jaaye।

Main woh charaag e sar e rahguzar e duniyan hoon,
Jo apni zaat ki tanhaaiyon mein jal jaaye।

Har ek lehza yahi aarzoo yahi hasrat,
Jo aag dil mein hai woh sher main bhi dhal jaaye।

***

अज़ीज़ इतना ही रखो .. के जी संभल जाए,
अब इस कदर भी न चाहो के दम निकल जाए ।

मिले हैं यूं तो बहुत, आओ, अब मिले यूं भी,
के रूह गर्मी-ए-अनफ़ास से पिघल जाए ।

मोहब्बतों में अजब है दिलों को धड़का सा,
के जाने कौन कहाँ रास्ता बदल जाए ।

रहे वह दिल जो तमन्ना-ए-ताज़ा तर में रहे,
खुशा वह उम्र जो ख्वाबों ही में बेहल जाए ।

मैं वह चराग़-ए-सर-ए-रह्गुज़ार-ए-दुनिया हूँ,
जो अपनी ज़ात की तन्हाईयों में जल जाए ।

हर एक लहज़ा यही आरज़ू, यही हसरत,
जो आग दिल में है, वह शेर में भी ढल जाए ।

No comments:

Post a Comment