Sochte aur jaagte saason ka ik dariya hoon main,
apne gumgashta kinaaron ke liye behta hoon main ।
Jal gaya saara badan inn mausamon ki aag mein,
ek mausam rooh ka hai, jismein ab zinda hoon main ।
Mere honton ka tabassum de gaya dhoka tujhe,
tu ne mujhko baag jaana, dekh le sehera hoon main ।
Dekhiye meri pazeerai ko ab aata hai kaun
lamha bhar ko waqt ki dehleez par aaya hoon main ।
Athar Nafees
***
सोचते और जागते साँसों का इक दरिया हूँ मैं,
अपने गुमगश्ता कनारों के लिए बहेता हूँ मैं ।
जल गया सारा बदन इन मौसमों की आग में,
एक मौसम रूह का है जिसमें अब जिंदा हूँ मैं ।
मेरे होंठों का तबस्सुम दे गया धोखा तुझे
तू ने मुझको बाग़ जाना, देखले सेहरा हूँ मैं ।
देखिये मेरी पज़ीराई को अब आता है कौन,
लम्हा भर को वक़्त की देहलीज़ पर आया हूँ मैं ।
अथर नफ़ीस
Gumgashta - Errant, Lost, Missing, Wandering
ReplyDeletePazeerai - Acceptance, Reception