Yeh mojza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhe,
ke sang tujhpe gire, aur zakhm aaye mujhe।
Main ghar se teri tamanna pehenke jab niklun,
barahna shehar mein koi nazar na aaye mujhe।
Wohi to sabse zyaada hai nuktacheen mera,
jo muskurake hamesha gale lagaaye mujhe।
Wo mera dost hai saare jahan ko hai maloom,
dagha kare wo kisi se, to sharm aaye mujhe।
Main apni zaat mein neelaam ho raha hoon 'qateel',
gham e hayat se keh do khareed laaye mujhe।
***
यह मोजज़ा भी मोहब्बत कभी दिखाए मुझे,
के संग तुझपे गिरे, और ज़ख्म आये मुझे ।
मैं घर से तेरी तमन्ना पेहेनके जब निकलूं,
बरहना शेहेर में कोई नज़र न आये मुझे ।
वही तो सबसे ज़्यादा है नुक्त्ताचीं मेरा,
जो मुस्कुराके हमेशा गले लगाए मुझे ।
वो मेरा दोस्त है सारे जहां को है मालूम,
दगा करे वो किसी से तो शर्म आये मुझे ।
मैं अपनी ज़ात में नीलाम हो रहा हूँ 'क़लील'
ग़म ए हयात से कह दो ख़रीद लाये मुझे ।
Mojza - Miracle
ReplyDeleteBarahna - Naked
Nuktacheen - sweetheart
Hayat - world, life