Jal bhi chuke parwane ho bhi chuki ruswayi,
ab khaak udaane ko baithe hain tamashaai।
Taaron ki zia dil mein ik aag lagati hai,
aaraam se raaton ko sote nahin saudaai ।
Ik shaam wo aaye the, ik raat farozaan thi,
wo shaam nahin lauti, wo raat nahin aayi ।
Raaton ki udaasi mein khaamosh hai dil mera
behis hain tamannayein, neend aayi ke maut aayi ।
Ab dil ko kisi karvat aaraam nahin milta,
ik umr ka rona hai, do din ki shanasaayi ।
*****
जल भी चुके परवाने हो भी चुकी रुसवाई
अब ख़ाक उडाने को बैठे हैं तमाशाई ।
तारों की ज़िया दिल में इक आग लगाती है,
आराम से रातों को सोते नहीं सौदाई ।
इक शाम वो आये थे, इक रात फ़रोजां थी,
वो शाम नहीं लौटी, वो रात नहीं आई ।
रातों की उदासी में खामोश है दिल मेरा,
बेहिस हैं तमन्नाएं, नींद आई के मौत आई ।
अब दिल की किसी करवट आराम नहीं मिलता,
इक उम्र का रोना है, दो दिन की शनासाई ।
Shanasaayi - Acquaintance
ReplyDelete