
Hairan hoon ke yeh kaun sa dastoor e wafa hai
Tu misl e rag e jaan hai to phir, kyun mujhse juda hai ।
Tu ehl e nazar hai to nahin tujhko khabar kyon,
Pehelu mein tere koi zamane se khada hai ।
Likha hai mera naan samandar pe hawa ne,
Aur donon ki fitrat mein sukoon hai na wafa hai ।
Shikwa nahin mujhko ke hoon mehroom e tamanna
Gham hai to faqat itna ke tu dekh raha hai ।
Uthi hai jo pehlu se meri dard ki leherein,
Betaab samandar koi seene mein daba hai ।
Aye zeest ke dozakh se guzarte huye lamho,
Socha hai kabhi tumne ke jeena bhi sazaa hai ।
Hum rakhte hain daava ke hai kaabu humein dil par
Tu saamne aa jaaye to yeh baat juda hai ।
Gham hai ke musalsal isi shiddat se hai taaza
Yun kehne ko iss umr ka har lamha naya hai ।
Main sheher o bayabaan mein tujhe dhoond chuka hoon
Bedard tu kis ujla e pinhaa mein chupa hai ।
Main sheher o bayabaan mein tujhe dhoond chuka hoon
Bedard tu kis ujla e pinhaa mein chupa hai ।
***
हैरां हूँ के यह कौन सा दस्तूर-ए-वफ़ा है,
तू मिस्ल-ए-रग-ए-जां है तो फ़िर, क्यों मुझसे जुदा है ।
तू एहल-ए-नज़र है तो नहीं तुझको ख़बर क्यों,
पहलू में तेरे कोई ज़माने से खड़ा है ।
लिखा है मेरा नाम समंदर पे हवा ने,
और दोनों की फ़ितरत में सकूं हैं , न वफ़ा है ।
शिकवा नहीं मुझको के हूँ मेहरूम-ए-तमन्ना,
ग़म है तो फ़क़त इतना के तू देख रहा है ।
उठी है जो पहलु से मेरी दर्द की लहरें,
बेताब समंदर कोई सीने में दबा है ।
ए ज़ीस्त के दोज़ख़ से गुज़रते हुए लम्हो,
सोचा है कभी तुम ने के जीना भी सज़ा है ।
हम रखते हैं दावा के है क़ाबू हमें दिल पर,
तू सामने आ जाए तो यह बात जुदा है ।
ग़म है के मुसलसल इसी शिद्दत से है ताज़ा,
यूं कहने को इस उम्र का हर लम्हा नया है ।
***
misl e rag e jaan - resembling the vein of life
ReplyDeleteEhl - worthy, able
Fitrat - creation, nature
Mehroom - Devoid of
Musalsal - continuous
I am looking for this gazal from since a long time.. if any one have this gazal sung by any singer
ReplyDeleteshare with me at my id anand1282006@gmail.com
ReplyDeleteA very melodious ghazal sung by Ghulam Abbas (a Pak singer from the Ghulam Ali generation) exists out there somewhere. I had a radio recording of that but I dont have it anymore :-(
ReplyDeleteI am still looking for it.