Aisa nahin ke unse mohabbat nahin rahi,
Jazbaat mein wo peheli si shiddat nahin rahi




Sar mein wo intzaar ka sauda nahin raha,
Dil par wo dhadkanon ki huqumat nahin rahi |

Kamzori e nigaah ne sanjeeda kar diya,
jalwon se chhed chhad ki aadat nahin rahi |

Allah jaane maut kahan mar gayi ‘khumaar’,
Ab mujhko zindagi ki zaroorat nahin rahi |


***

ऐसा नहीं के उनसे मोहब्बत नहीं रही,
जज़्बात में वो पेहेली सी शिद्दत नहीं रही |

सर में वो इंतज़ार का सौदा नहीं रहा,
दिल पर वो धडकनों की हुकूमत नहीं रही |
कमज़ोरी-ए-निगाह ने संजीदा कर दिया,
जलवों से छेड़ छाड़ की वो आदत नहीं रही |

अल्लाह जाने मौत कहाँ मर गई "क़ुमार",
अब मुझको ज़िंदगी की ज़रूरत नहीं रही |



No comments:

Post a Comment