Kabhi sukoon ko, kabhi gham-gusaar ko roye,
Tamaan umr dil e beqaraar ko roye ।
Tumhari yaad bhi jaane lagi dabey paaun,
Hum iss tarah se gham e rozgaar ko roye ।
Kisi tarah se mohabbat ko zindagi na mili,
Sehar huyi to shab e intzaar ko roye ।
Kisi ki yaad mein hum roye iss qadar 'daanish'
Ke jaise phool chaman mein bahar ko roye ।
***
कभी सुकूं को, कभी ग़म-गुसार को रोये
तमाम उम्र दिल-ए-बेकरार को रोये ।
तुम्हारी याद भी जाने लगी दबे पांव
हम इस तरह से ग़म-ए-रोज़गार को रोये ।
किसी तरह से मोहब्बत को ज़िंदगी न मिली
सेहर हुई तो शब-ए-इंतज़ार को रोये ।
किसी की याद में हम रोये इस तरह "दानिश"
के जैसे फूल चमन में बहार को रोये ।
gham-gusaar - Friend, One who comforts
ReplyDelete