Hawa ke dosh pe rakkhe huye charaag hain hum, jo bujh gaye to hawa se shikayatein kaisi



Khayaal o kwaab hui hain mohabbatein kaisi,
lahu mein naach rahi hain yeh vehshatein kaisi

Na shab ko chand hai achha, na din ko meher achha,
yeh hum pe beet rahi hain qayamatein kaisi

Azaab jin ka tabassum, sawaab jin ki nigaah
khinchi huyi hai pas e jaanaan suratein kaisi

Woh saath tha to khuda bhi tha meherbaan kya kya,
bichhad gaya to huyi hain adaavatein kaisi ।

Hawa ke dosh pe rakkhe huye charaag hain hum,
jo bujh gaye to hawa se shikayatein kaisi

Jo bekhabar koi guzra to sadaa yeh dil hai,
main sang e raah hoon, mujh par inaayatein kaisi

Jo aa rahe so wo bhi ab sang o khisht laata hai,
fazaa yeh ho to dilon ki nazakatein kaisi

- Obaidullah Aleem

***

ख्याल ओ ख़ाब हुई है मोहब्बतें कैसी,
लहू में नाच रही हैं यह वेहशतें कैसी

न शब को चाँद है अच्छा न दिन को मैहर अच्छा,
यह हम पे बीत रही हैं क़यामतें कैसी

अज़ाब जिनका तबस्सुम, सवाब जिन की निगाह,
खिंची हुई है पस ए जाना सूरतें कैसी

वह साथ था तो खुदा भी था मेहेरबां क्या क्या,
बिछड़ गया तो हुई हैं अदावतें कैसी

हवा के दोश पे रखे हुए चराग़ हैं हम,
जो बुझ गए तो हवा से शिकायतें कैसी

जो बेख़बर कोई गुज़री तो यह सदा दी है,
मैं संग ए राह हूँ मुझ पर इनायतें कैसी

जो आ रहे सो वह भी अब संग ओ खिश्त लाता है,
फ़ज़ा यह हो तो दिलों की नज़ाकतें कैसी

- आलीम

1 comment:

  1. Vehshat - fear, anxiety, loneliness,
    Azaab - Curse, Agony, torment, pain
    Sawaab - Reward
    Pas - behind
    Dosh - shoulder
    Inayatein - favor, kindness
    Sang - stone
    Khisht - bricks
    Nazakat - tenderness

    ReplyDelete