Aisi tanhaai ke aansu bhi nahin aankhon mein, Aur yeh raat ke taaron se bhari hai ab tak




Tujh se pehle jo tamanna thi, woh hi hai ab tak,

Tujhko paakar bhi kisi shay ki kami hai ab tak


Humein jeena hai abhi, nit naye ilzaam na do,

Hum ne kab baat tumhein dil ki kahi hai ab tak


Tujh se milkar bhi tere hijr ke sadme na gaye,

Is musarrat mein bhi ehsaas e ghami hai ab tak


Aisi tanhaai ke aansu bhi nahin aankhon mein,

Aur yeh raat ke taaron se bhari hai ab tak


Kis ko samjhayein ke 'aayub' badi cheez the hum,

Ho gaye khaak magar, naam wohi hai ab tak



***


तुझसे पहेले जो तमन्ना थी, वही है अब तक,

तुझको पाकर भी किसी शय की कमी है अब तक


हमें जीना है अभी नित नए इल्ज़ाम न दो

हम ने कब बात तुम्हें, दिल की कही है अब तक


तुझसे मिलकर भी तेरे हिज्र के सदमे न गए,

इस मुसर्रत में भी एहसास-ए-ग़मी है अब तक


ऐसी तन्हाई के आंसू भी नहीं आंखों में,

और यह रात के, तारों से भरी है अब तक


किस को समझाएं के 'आयूब' बड़ी चीज़ थे हम,

हो गए ख़ाक मगर, नाम वही है अब तक


1 comment:

  1. nit - always
    musarrat - joy
    ghami - bereavement

    ReplyDelete