Ab dekhiye kya haal hamara ho sehar tak,
bhadki huyi ek aag si hai dil se jigar tak ।
Main bekhabar e gham tha magar, woh dum e rukhsat
dekha kiye mud mud ke mujhe hadd e nazar tak ।
Ab tak na mane hum se woh haalaake issi mein,
laila e shab e vasl ki zulf aayi kamar tak ।
Kuch mehv e tasavvur tha main iss darja ke 'hasrat',
mujhko na huyi yaar ke aane ki khabar tak ।
***
अब देखिये क्या हाल हमारा हो सहर तक,
भड़की हुई एक आग सी है दिल से जिगर तक ।
देखा किए मुड मुड के मुझे हद्द ए नज़र तक ।
अब तक न मने हम से वो हालाके इसी में,
लैला ए शब् ए वस्ल की जुल्फ़ आई कमर तक ।
मुझको न हुई यार के आने की खबर तक ।
mehv – Engrossed
ReplyDelete