Hum ke thehre ajnabi itni madaaraaton ke baad,
Phir banenge aashna kitni mulaqaaton ke baad ।
Kab nazar mein aayegi bedaag sabze ki bahar,
khoon ke dhhabbe dhulenge, kitni barsaaton ke baad ।
Dil to chaaha par shikast e dil ne maholat hi na di,
Kuch gile shikwe bhi kar lete munaajaaton ke baad ।
The bahut bedard lamhein khatm e dard e ishq ke
Thi bahut bemeher subhein meherbaan raaton ke baad ।
Unse jo kehne gaye the, 'faiz' jaan sadqa kiye,
Ankahee hi reh gayi wo baat sab baaton ke baad ।
***
हम के ठहरे अजनबी इतनी मदारातों के बाद,
फिर बनेंगे आशना कितनी मुलाक़ातों के बाद ।
कब नज़र में आएगी बेदाग़ सब्ज़े की बहार,
खून के धब्बे धुलेंगे कितनी बरसातों के बाद ।
दिल तो चाहा पर शिकस्त ए दिल ने महोलत ही न दी,
कुछ गिले शिकवे भी कर लेते मुनाजातों के बाद ।
थे बहुत बे-दर्द लम्हें ख़त्म ए दर्द ए इश्क के,
थीं बहुत बे-मेहर सुबहें मेहरबां रातों के बाद ।
उनसे जो कहने गए थे 'फ़ैज़' जां सदक़ा किये,
अनकही ही रह गयी वह बात सब बातों के बाद ।
- फ़ैज़
madaaraaton - hospitality
ReplyDeletemunaajaaton - prayers