Kisi tarah se mohabbat ko zindagi na mili, Sehar huyi to shab e intzaar ko roye




Kabhi sukoon ko, kabhi gham-gusaar ko roye,

Tamaan umr dil e beqaraar ko roye


Tumhari yaad bhi jaane lagi dabey paaun,

Hum iss tarah se gham e rozgaar ko roye


Kisi tarah se mohabbat ko zindagi na mili,

Sehar huyi to shab e intzaar ko roye


Kisi ki yaad mein hum roye iss qadar 'daanish'

Ke jaise phool chaman mein bahar ko roye


***


कभी सुकूं को, कभी ग़म-गुसार को रोये

तमाम उम्र दिल-ए-बेकरार को रोये


तुम्हारी याद भी जाने लगी दबे पांव

हम इस तरह से ग़म-ए-रोज़गार को रोये


किसी तरह से मोहब्बत को ज़िंदगी न मिली

सेहर हुई तो शब-ए-इंतज़ार को रोये


किसी की याद में हम रोये इस तरह "दानिश"

के जैसे फूल चमन में बहार को रोये


1 comment: