Ab to uth sakta nahin, aankhon se baar-e-intzaar ।



Ab to uth sakta nahin, aankhon se baar-e-intzaar ।
kis tarah kaate koi lail o nahaar-e-intzaar ।

Unki ulfat ka yakeen ho, unke aane ki umeed,
Hon yeh donon surtein, tab hai bahar-e-intzaar ।

Meri aahein na rasaa, meri duaayein na qubool,
Ya ilaahi kya karoon main sharmsaar-e-intzaar ।

Unke khat ki aarzoo hai, unke aamad ka khayal,
Kis qadar phaila hua hai, kaarobaar-e-intzaar ।

- Hasrat Mohani

***

अब तो उठ सकता नहीं आँखों से बार-ए-इंतज़ार ।
किस तरह काटे कोई लैल ओ नहार-ए-इंतज़ार ।

उनकी उलफ़त का यकीं हो, उनके आने की उम्मीद
हों यह दोनों सूरतें, तब है बहार-ए-इंतज़ार ।

मेरी आहें ना रसा, मेरी दुआएं न कुबूल,
या इलाही क्या करूँ मैं शर्मसार-ए- इंतज़ार ।

उनके ख़त की आरज़ू है, उनके आमद का ख़याल
किस क़दर फ़ैला हुआ है कारोबार-ए-इंतज़ार ।

- हसरत मोहनी

2 comments:

  1. baar – weight
    lail o nahaar – night and day
    rasaa – reach
    sharmsaar – abashed, ashamed
    Aamad - arrival

    ReplyDelete
  2. Khali Platform ki picture se bahot achhi naqsha kashi ki hai ess ghazal ki. Zabardast Senty G!!

    ReplyDelete