Apna yeh haal ke jee haar chuke, lut bhi chuke, aur mohabbat wohi andaaz puraane maange ।



Qurbaton mein bhi judaai ke zamaane maange,
dil wo bemeher ke rone ke bahaane maange ।

Yahi dil tha ke tarasta tha maraasim ke liye,
ab yahi tark-e-taalluq ke bahaane maange ।

Apna yeh haal ke jee haar chuke, lut bhi chuke,
aur mohabbat wohi andaaz puraane maange ।

Hum na hote to kisi aur ke charche hote,
khalqat-e-sheher to kehne ko fasaane maange ।

Dil kisi haal pe raazi hi nahin jaan e 'faraaz'
mil gaye tum bhi to kya aur na jaane maange ।


- Ahmed Faraz

***

क़ुर्बतों में भी जुदाई के ज़माने मांगे,
दिल वह बेमेहर के रोने के बहाने मांगे ।

यही दिल था के तरसता था मरासिम के लिए,
अब यही तर्क ए ताल्लुक़ के बहाने मांगे ।

अपना यह हाल के जी हार चुके, लुट भी चुके,
और मोहब्बत वही अंदाज़ पुराने मांगे ।

हम न होते तो किसी और के चर्चे होते,
खल्क़त-ए-शेहर तो कहने को फ़साने मांगे ।

दिल किसी हाल पे राज़ी ही नहीं जान-ए-'फ़राज़'
मिल गए तुम भी तो क्या और न जाने मांगे ।

- अहमद फ़राज़

No comments:

Post a Comment