Apna yeh haal ke jee haar chuke, lut bhi chuke, aur mohabbat wohi andaaz puraane maange ।



Qurbaton mein bhi judaai ke zamaane maange,
dil wo bemeher ke rone ke bahaane maange ।

Yahi dil tha ke tarasta tha maraasim ke liye,
ab yahi tark-e-taalluq ke bahaane maange ।

Apna yeh haal ke jee haar chuke, lut bhi chuke,
aur mohabbat wohi andaaz puraane maange ।

Hum na hote to kisi aur ke charche hote,
khalqat-e-sheher to kehne ko fasaane maange ।

Dil kisi haal pe raazi hi nahin jaan e 'faraaz'
mil gaye tum bhi to kya aur na jaane maange ।


- Ahmed Faraz

***

क़ुर्बतों में भी जुदाई के ज़माने मांगे,
दिल वह बेमेहर के रोने के बहाने मांगे ।

यही दिल था के तरसता था मरासिम के लिए,
अब यही तर्क ए ताल्लुक़ के बहाने मांगे ।

अपना यह हाल के जी हार चुके, लुट भी चुके,
और मोहब्बत वही अंदाज़ पुराने मांगे ।

हम न होते तो किसी और के चर्चे होते,
खल्क़त-ए-शेहर तो कहने को फ़साने मांगे ।

दिल किसी हाल पे राज़ी ही नहीं जान-ए-'फ़राज़'
मिल गए तुम भी तो क्या और न जाने मांगे ।

- अहमद फ़राज़


Ab to uth sakta nahin, aankhon se baar-e-intzaar ।



Ab to uth sakta nahin, aankhon se baar-e-intzaar ।
kis tarah kaate koi lail o nahaar-e-intzaar ।

Unki ulfat ka yakeen ho, unke aane ki umeed,
Hon yeh donon surtein, tab hai bahar-e-intzaar ।

Meri aahein na rasaa, meri duaayein na qubool,
Ya ilaahi kya karoon main sharmsaar-e-intzaar ।

Unke khat ki aarzoo hai, unke aamad ka khayal,
Kis qadar phaila hua hai, kaarobaar-e-intzaar ।

- Hasrat Mohani

***

अब तो उठ सकता नहीं आँखों से बार-ए-इंतज़ार ।
किस तरह काटे कोई लैल ओ नहार-ए-इंतज़ार ।

उनकी उलफ़त का यकीं हो, उनके आने की उम्मीद
हों यह दोनों सूरतें, तब है बहार-ए-इंतज़ार ।

मेरी आहें ना रसा, मेरी दुआएं न कुबूल,
या इलाही क्या करूँ मैं शर्मसार-ए- इंतज़ार ।

उनके ख़त की आरज़ू है, उनके आमद का ख़याल
किस क़दर फ़ैला हुआ है कारोबार-ए-इंतज़ार ।

- हसरत मोहनी


Hawa ke dosh pe rakkhe huye charaag hain hum, jo bujh gaye to hawa se shikayatein kaisi



Khayaal o kwaab hui hain mohabbatein kaisi,
lahu mein naach rahi hain yeh vehshatein kaisi

Na shab ko chand hai achha, na din ko meher achha,
yeh hum pe beet rahi hain qayamatein kaisi

Azaab jin ka tabassum, sawaab jin ki nigaah
khinchi huyi hai pas e jaanaan suratein kaisi

Woh saath tha to khuda bhi tha meherbaan kya kya,
bichhad gaya to huyi hain adaavatein kaisi ।

Hawa ke dosh pe rakkhe huye charaag hain hum,
jo bujh gaye to hawa se shikayatein kaisi

Jo bekhabar koi guzra to sadaa yeh dil hai,
main sang e raah hoon, mujh par inaayatein kaisi

Jo aa rahe so wo bhi ab sang o khisht laata hai,
fazaa yeh ho to dilon ki nazakatein kaisi

- Obaidullah Aleem

***

ख्याल ओ ख़ाब हुई है मोहब्बतें कैसी,
लहू में नाच रही हैं यह वेहशतें कैसी

न शब को चाँद है अच्छा न दिन को मैहर अच्छा,
यह हम पे बीत रही हैं क़यामतें कैसी

अज़ाब जिनका तबस्सुम, सवाब जिन की निगाह,
खिंची हुई है पस ए जाना सूरतें कैसी

वह साथ था तो खुदा भी था मेहेरबां क्या क्या,
बिछड़ गया तो हुई हैं अदावतें कैसी

हवा के दोश पे रखे हुए चराग़ हैं हम,
जो बुझ गए तो हवा से शिकायतें कैसी

जो बेख़बर कोई गुज़री तो यह सदा दी है,
मैं संग ए राह हूँ मुझ पर इनायतें कैसी

जो आ रहे सो वह भी अब संग ओ खिश्त लाता है,
फ़ज़ा यह हो तो दिलों की नज़ाकतें कैसी

- आलीम


Inhi pattharon pe chalkar agar aa sako to aao, mere ghar ke raaste mein koi kehkashaan nahin hai ।



Kisi aur gham mein itni khalishein nihaan nahin hai,
gham e dil mere rafeeqo, gham e raayegaan nahin hai ।

Kisi aankh ko sadaa do, kisi zulf ko pukaro,
badi dhoop pad rahi hai, koi saaybaan nahin hai ।

Mere rooh ki haqeeqat meri aansuon se poocho,
mera majlisi tabassum mera tarjumaan nahin hai ।

Koi humnafas nahin hai, koi raazdaan nahin hai,
faqat ek dil tha ab tak, so wo meherbaan nahin hai ।

Inhi pattharon pe chalkar agar aa sako to aao,
mere ghar ke raaste mein koi kehkashaan nahin hai ।

***

किसी और ग़म में इतनी खलिशें निहां नहीं है,
ग़म ए दिल मेरे रफ़ीक़ो ग़म ए रायेगां नहीं है ।

किसी आँख को सदा दो, किसी ज़ुल्फ़ को पुकारो,
बड़ी धुप पड़ रही है, कोई सायबान नहीं है ।

मेरे रूह की हक़ीक़त मेरी आंसुओं से पूछो,
मेरा मजलिसी तबस्सुम, मेरा तर्जुमान नहीं है ।

कोई हमनफ़स नहीं है, कोई राज़दां नहीं है,
फ़क़त एक दिल था अब तक, सो वह मेहरबां नहीं है ।

इन्हीं पत्थरों पे चलकर अगर आ सको तो आओ,
मेरे घर के रास्ते में कोई कहकशां नहीं है ।


Dikhaun daag e mohabbat jo nagawaar na ho, Sunaun qissa e furqat agar bura na lagey ।


Wo iss ada se jo aaye to kyun bhala na lagey,
Hazaar baar milo to phir bhi aashna na lagey ।

Kabhi wo khaas inayat ke sau gumaan guzre,
Kabhi wo tarz e taghaful ke mehermaan na lagey ।

Dikhaun daag e mohabbat jo nagawaar na ho,
Sunaun qissa e furqat agar bura na lagey ।

Bahut hi saada hai tu, aur zamana hai ayyar,
Khuda kare ke tujhe sheher ki hawa na lagey ।

Wo rang dil ko diye hain lahoo ki gardish ne,
Nazar uthaun to duniyan nigaar-khaana lagey ।

Wo seedhi saadi adaayein ki bijiliyaan barseen,
Wo dilbaraana muravvat ke aashiqana lagey ।

Bujha na dein yeh musalsal udaasiyan dil ko,
Wo baat kar ke tabiyat ko taaziana lagey ।

Aitaab ahl e jahan sab bhula diya, lekin,
Wo zakhm yaad hai ab tak jo gayebana lagey ।


Liye hi jaati hai har dum koi sadaa 'nasir'
Yeh aur baat suraag e nishaan e paa na lagey ।

- Nasir Qazmi

***

वह इस अदा से जो आए तो क्यूँ भला न लगे,
हज़ार बार मिलो तो फिर भी आशना न लगे ।

कभी वो ख़ास इनायत के सौ गुमां गुज़रे
कभी वो तर्ज़ ए तगाफुल के मेहेरमां ना लगे ।

दिखाऊं दाग़ ए मोहब्बत जो नागवार ना हो,
सुनाऊं क़िस्सा ए फ़ुरक़त अगर बुरा ना लगे ।

बहुत ही सादा है तू, और ज़माना है अय्यार,
खुदा करे के तुझे शेहर की हवा ना लगे ।

वह रंग दिल को दिए हैं लहू की गरदिश ने,
नज़र उठाऊं तो दुनियां निगार-खाना लगे ।

वह सीधी सादी अदाएं कि बिजलियाँ बरसीं,
वह दिलबराना मुरव्वत के आशिक़ाना लगे ।

बुझा ना दें यह मुसलसल उदासियाँ दिल को,
वह बात कर के तबीयत को ताज़ियाना लगे ।

ऐताब अहल ए जहाँ सब भुला दिया लेकिन,
वह ज़ख्म याद हैं अब तक, जो ग़यीबाना लगे ।

लिए ही जाती है हर दम कोई सदा 'नासिर'
यह और बात, सुराग़ ए निशान ए पा ना लगे ।

- नासिर काज़मी


Haye, mehmaan kahan yeh gham e jaana hoga, khaana e dil to koi roz mein veeran hoga ।




Haye, mehmaan kahan yeh gham e jaana hoga,
khaana e dil to koi roz mein veeran hoga ।

Kosta hoon jo naseebon ko to kehta hai wo shokh,
phir mohabbat na karega agar insaan hoga ।

Zindagi ishq mein mushkil hai to mar jaayenge,
ab se wo kaam karenge ke jo aasaan hoga ।

Ab kahan lakht e jigar seene mein, aye deeda e tar,
aur hoga to sar e goshaa e daamaan hoga ।

- Daag Dehlvi

***

हाय, मेहमान कहां यह ग़म ए जाना होगा,
खाना ए दिल तो कोई रोज़ में वीरां होगा ।

कोसता हूँ जो नसीबों को तो कहता है वो शोख,
फिर मोहब्बत न करेगा अगर इंसां होगा ।

ज़िन्दगी इश्क़ में मुश्किल है तो मर जायेंगे,
अब से वह काम करेंगे के जो आसां होगा ।

अब कहां लाख्ते जिगर सीने में, ए दीदा ए तर,
और होगा तो सर ए गोशा ए दामां होगा ।

- दाग़




Kab nazar mein aayegi bedaag sabze ki bahar, khoon ke dhhabbe dhulenge, kitni barsaaton ke baad ।



Hum ke thehre ajnabi itni madaaraaton ke baad,
Phir banenge aashna kitni mulaqaaton ke baad ।

Kab nazar mein aayegi bedaag sabze ki bahar,
khoon ke dhhabbe dhulenge, kitni barsaaton ke baad ।

Dil to chaaha par shikast e dil ne maholat hi na di,
Kuch gile shikwe bhi kar lete munaajaaton ke baad ।

The bahut bedard lamhein khatm e dard e ishq ke
Thi bahut bemeher subhein meherbaan raaton ke baad ।

Unse jo kehne gaye the, 'faiz' jaan sadqa kiye,
Ankahee hi reh gayi wo baat sab baaton ke baad ।

***

हम के ठहरे अजनबी इतनी मदारातों के बाद,
फिर बनेंगे आशना कितनी मुलाक़ातों के बाद

कब नज़र में आएगी बेदाग़ सब्ज़े की बहार,
खून के धब्बे धुलेंगे कितनी बरसातों के बाद

दिल तो चाहा पर शिकस्त ए दिल ने महोलत ही न दी,
कुछ गिले शिकवे भी कर लेते मुनाजातों के बाद

थे बहुत बे-दर्द लम्हें ख़त्म ए दर्द ए इश्क के,
थीं बहुत बे-मेहर सुबहें मेहरबां रातों के बाद

उनसे जो कहने गए थे 'फ़ैज़' जां सदक़ा किये,
अनकही ही रह गयी वह बात सब बातों के बाद

- फ़ैज़